Aur Nawab Lyrics – COM.Ü.L
Singer: COM.Ü.L
Title: Aur Nawab
Attharvi birthday pe tere
Bawa the gift mai dere
60 lakh ki bmw
Bolna kaiku bhaiku aisa
Neechcha tu dikhara
Teri baggi mai phasarke penda
Jannat ku tu jaara kya?
Hasd se nai bolrau mai
Assal baat ab karrau mai
Zindagibhar the paidal apne auliya Nizamuddin
Apneku kaiku jaldi padi speed mai udne ki
Khudki kamai se haqq se linge liye toh Maruti
Maa baap ke maal pe jeera tu nawab teri mmm
Lockdown mai laundpana
Farz hai na
Bike pe tu phir phir
Gear kheecha bhrr brrr
Zip zip kaate
Mask ke bagar gullio mai se guzarke
Kya mila phir?
Bhena tere gharo mai dafan, nai toh darr mai gade
Awaara tu gullio mai phir, tere styla bade
Zip zip kaate
Tere har alfaaz mai chubteso kaante
Ghulaab ke samjhe tobhi khushboo hai kaa pe?
Rang mara boo uthi fakhir kabhi toh nahale
Arey faida kya nahake teri rooh poori napaak hai
Murde dil se nikle poore khudgarz khwaishaat hai
Bekaar hai tere jaise ku paltane ka kaam
Khudke liye jeeta khaali
Phir aake bola tu hai entrepreneur
Toh bolo na janaab
Assal hustle teri tu jo mnc mei kaam kara
Stockmarket ka screen chaata, tere investment ka daam bada
Bhot kamara, din ke dus ghante tu kaam kara ha
Mazdoor ka beta jo dus ghante patthar toda unhe kya phir jhak marara?
Aur Nawab
Laundpane ki zindagi
Ya discipline mai cheekh dabi
Baap ke paise pe koodna
Ya “self-made” pungi mai phookna
Duniya mai tum toh hilae bas jhunjhuna
Kuch assal badlaav aaya nai tere mehnat se re
Privilege ka khudki tumku andaaza nai hai
Yaad rakh
Tere daulat aur sukoon ka mazboot palang
Gharib ghar ke khwaabo ke qabro pe jama ab
Zara side pe hato, mere nazar mai tum
Parasite hai jo, apne aap ku hai sher samjha
Kheech chamda saawle surat waalo ka
Dhoop jinki chhat bani mehnat ke waqt
Jinke bhadde naseeb mai kabhi nai tha AC kamra
Tu rakh apna temperature hai bees pe sai
Phir razai daal do teen mote chamde ki
Kutte tu karna kya chahra?
Aur Nawab
Bhot sahe hum tere nataka
Paise jeb mai, hookah mooh mai
Zindagi mai jaara bol tu kaa tak hai?
Tu imaan ka nai hai, na tu ilm ka hai
Ishq ke bagar manzil kya hai?
Bekaar aadmi dekh kai nai jaati gaadi teri
Teri saas se weather kaafi kharaab bhi hai
Bekaar aadmi tu hyderabadi bhi nai hai
Tere zaalim nizaam ku marke hue saal
Telugu communist ke jalre aaj bhi mashaal
Mazdoor kisaan ke dum pe ye sheher chalra
IT wale worker, tankhwa ke liye jo marre, bhi comrade hai na
Ghareebi mai samjhe hum bhaichara
Assal hustle hai ye jisse sheher poora chalra
Assal hustle hai ye jisse itihaas chalra
Toh samjha nawab?
Jaa khatam tera
Zyada soch nakko, nikalle ab, bhot hogaya
Comrades jo bhi sunre
Student raho, mazdoor raho, IT worker raho, kaise bhi raho
Nichode jaane paida nai hoye apan
Maqsad nai hai yeh apna
Ek word yaad rakho
Unionise
Jab tak saath hai apan nawabzade
Baigan nai ukhaadsakte apna
Ek word yaad rakho bas, maqsad banalo
Unionise
Find more lyrics at lyrics.jspinyin.net
You can purchase their music thru or Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases
Other Popular Songs:
ssshhhiiittt! - Но ты
slime kidd - All Stars
Lyrics COM.Ü.L – Aur Nawab
Kindly like and share our content. Please follow our site to get the latest lyrics for all songs.
We don’t provide any MP3 Download, please support the artist by purchasing their music 🙂
You can purchase their music thru or Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases