Lyrics Jokhay – Kab Tak

Kab Tak Lyrics – Jokhay

Singer: Jokhay
Title: Kab Tak

2013 meri umar 11 saal
Mein jitna ghar ke andar utna se jyaada ghar se bahar
Mein jitna dar ke jeeta utna dabati ye duniya
To me banta tha bas, nahi tha ratti bhar bhi samjhdaar

Samjh yaar mujhe haar manzoor nahi thi zara bhi
Yaha zor pe asle ke duniya ek doosre ko dabati
Yaha shor karna aam yaha chor hukmaraan
Yaha insaan ko izzatdaar us kee badtameezi banati

To bhara dee apne adnar meine ana bhi
Maut ka din moyean to maut se me dara nahi
Bohot dekhe chehre, abe bohot dekhe chehre
Mujhe amt bata ke beta kisne kiski nasle tabah kee

Azaadi abe ghanta nahi hai sheher mein
Bike pе aata banda dekh kar 2 minute bhi thertе?
Nahi na to kaise tu azaad hua
Sab kuch dekh kar chup tp tu bhi maashre ka daag hua

Khaak hua 75 saalo me kuch behtar
Bole ‘Geo To Aise’ par yaha beeke news channel
Ghoos panel kha kar bole so sorry
Do kori saale do call upar se nai kee chale jaati job fori

Shauk bohot hee mujhe lagte inke neech hain
Ehsaan nahi kiya humpe banke yu ameer han
Jo mila kiya shukar
Ziada paane ke chakkar me Khuda kasam

Kabhi kara nahi soda is zameer ka
Kab tak yuhi darte rahe?
Begunaah bepannah marte rahe
Har din jahalat ek naya case

Maae kyun na kahe bacho ko ghar me rahe
Kyun na in sarko se bach ke rahe?
Kab tak in rasto mein phaste rahe?
Insaaniyat nahi dikhti in logo me mujhe

Ye kis muh se firko pe batte rahe?
Abe khoyenge tab na jab paya ho
Wo chup rahe jisne yaha khaya ho
Aisi siyasat pe thooku jaha mohalle mein bhooke

Aur mehelo mein nemate zaya ho
Har banda afsurda har bande ke 20 gam
Masle yaha 100 kya kya kare theek hum
Badle ki soch kaise badlenge jaana

Jab duaon ke badle mein hee dete hai bheek hum
Jee hum itne geere hue
Saazish khilaaf lage sab mile we hai
Inki shakale bataye meri kaamyabi khaye inhe

Tabhi ye udaas aur chirchere hai
Par khair thora farak hoga
Meri jaan hum se bach tujhe dard hoga
Abe dekh na kon saath mere King of my city

To kese iconic nahi verse hoga?
Sunta tha YoungStunners Frontrow pe
Ye collab mera sapna tha barso se
TY saath tujhe G – Side maar dega

Aur kitne fame ke liye tarsoge?
Bhooke footage ke ye leechar hai na
Inke murde in career pe keechar rehna
Beta ye sabar hai kala ke qadar hai

Marke bhi ise na feature kehna
Maazi peeche chhorke
Hume chal parhe
Taqdeeron ka rukh morh ke

Yahaan khade
Sab zanjeeron ko todke
Chalte rahen
Ummeedon ko jodke

Ladte rahen
Utaar saare qarz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban

Duniya matlabi hai par tu ek misaal ban
Soch ye, anaa na ho sawaar bas
Seekhe nahi sikhate seena phaar kar
Zindagi guzaari intizaar kar

Khuaab honge poore rakh sambhaal kar
Gunaahgaar shayar layak bhi na pyaar ke
Karte hein izhaar sab kiya khwhiaason ko maarte
Samjhdaar magar shehar ke liye jaan de

Yahan koi bhooka soye nahi
Ye log ab deewaar se
If I die put money on the streets
Sadke ghayab magar saare phir bhi dheet

One four
Ride or dies
Alag vibe
Alag reach

When I be on the mic
Saare high kiya me weed?
CD waale daur se aaj Spotify ke charts pe
Kuch kutte aa ke bhonte

Toh haddi de ke daant te
Kuch bichhu darr ke kaat te
Kuch paise peeche bhaagte
Fitratein insaan ki

Par nafratein ye daagh de
Galle kaato inke haath baandh do
Kya hi diss karenge mujhe ye chaar paanch (4-5) log
Idhar palle jidhar aaye din hi waardaat ho

Chali goli toh bheje se tere aar paar ho
Par khair
Baadalon aur choontion pe rakhte nahi pair
Dilon aur dimagon mein bhara hua hai zeher

Neymaton se dooba hua mera poora shehar
Chote tair, ya toh ther
Kya andhera, kya sawer
Saare bante sava ser

Man I’m done with rainy days
Khaali karo mera stage
Chote aukaat mein reh
Qaim apni har ek baat pe hai

Karachi ko daala hai map pe
Tere hum baap hain chote aa naap to le
Mein inse 6 foot ooper
Chhatti hiss ne roke we mere 600 shooter

Bulletproof jaise Luke ke toh guzren hi na chhu kar
Baatein chodain peet peeche yaar bane saare muh par
Chalte khuda ke sahaare
Kabse ghar ko bhi chala rahe

Khwaab poore karte jaa rahe, sabki chaltian sudhaare
Kyun ye mujhse jalte saale aaj bhi
Inki is jalan ka mera paas ab ilaaj nai
Apni madad aap, sochen roz bas aaj aakhri

Aadatein bigaadi zindagi ne, paisa raas nahi
Kisko phir vote de?
Har kisko rokte
Phone de ya thok de, baandh inhe chowk pe

Likhta insaniyat pe dekhe meine maujzay
Sikhaun tabhi shauq se, aage mein tere soch se
Lade hue hain maut se, khade abhi bhi top pe
Kala ye azaad likhen danke ki chott pe

Karenge sab yaad jo hum aaj likhna chhor de
Maazi peeche chhorke
Hum chal parhe
Taqdeeron ka rukh morh ke

Yahaan khade
Sab zanjeeron ko todke
Chalte rahen
Ummeedon ko jodke

Ladte rahen
Utaar saare qarz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban

Duniya matlabi hai par tu ek misaal ban
Utaar saare qarz aur khuddaar ban
Milega wahi jiska tu haqdaar, sun
Girti na jo aisi deewar ban

Duniya matlabi hai par tu ek misaal ban
Find more lyrics at lyrics.jspinyin.net

You can purchase their music thru 
Amazon Music  Apple Music
Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases
Other Popular Songs:
LEIN - Upadłe Anioły
Kahraman Arslan - İntikam

Lyrics Jokhay – Kab Tak

Kindly like and share our content. Please follow our site to get the latest lyrics for all songs.

We don’t provide any MP3 Download, please support the artist by purchasing their music 🙂

You can purchase their music thru 
Amazon Music  Apple Music
Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases