Aana Nahi Lyrics – Talhah Yunus
Singer: Talhah Yunus
Title: Aana Nahi
Haathon mein haath le
Aakay tu haal dekh
Betha mad’hosh mein
Aakay sahaara de
Aaja shaam ke nazaaray le
Roothi raat ko aaja hum taanay de
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Samajho ehsaan agar tujh pe likhun lafz
Agar laga tujhe aashiq mizaaj mein
Tou phir kala meri haavi rahay gi is mizaaj pe
Mein hun shak karne waalon mein na
Akela dar jaanay waalon mein na
Kirdaar mera mujhe iski ijazat ni deta
Jana dil tornay waalay hotay waaday karne waalon mein na
Pasand karte kia haqeeqat pasand log
Agar tujhe shikayat to phir mjhe badal do
Lekin parh kabhi mere qadam ko
Jaan k ko maanga samajh kabhi sitam wo
Khabardaar mein hun khatarnaak chori
Na jaanu wazan kya hai mere kalam ka chori
Tu ne kismat marorri jab thi asal baat morri
Jana to tha na mein ne jaanay deti thora slowly
Mein hun karta mulakaat kisi se bhi na
Phir bhi jaakay tujh se mila tha soch
Mein wo mard rakhta farq hai jo baat yahi sach hai bas
Baaqi saari ki theen mein ne goal
Mein kia itna bura tha?
Kia mein na tujh se thoda sa bhi juda tha?
Bol?
Bani rahi wo paak daman aagay mere
Hun oh samajhdi mein shuru toun hi chaydi si
Wh*re/hore
b#tch i got a fanbase mujhe kudiyon ki thor ni
Apnay aap ko tu khaas samajh
Agar mein na karun baat to phir nafrat mjhe baaton se hai
Tujh se nahi meri ye tu baat samajh
Par tu toh shuru se thi na samajh
Aur samjhota karne wala mein
Tujhe zaroorat thi meri nahi thi mujhe teri
Mera maqsad to bas khud ko khud se milana hai
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Haazir jawaab, ye sawaal bhi behaal baray
Bistar pe mere tootay bikhray paray baal baray
Ghum bhi avaara, khud ko dete hain sahara
Maine uthaya ye qalam tou phir bheegengay rumaal baray
Woh leti imtehaan baray
Dilon mai liye we makaan baray
Ye fikar bhi ab tujhe lage shaqq
Dia waqt, dia sab, phir bhi tere mezbaan baray
Hum nigehbaan tere
Khushiyon ko baant te rahay
Ghalti se seekhay kiun hum khud hi khud ko daant te rahay
Sayari gumnaam rahay
Mu pe wo anjan banay, kese ye jahan milay?
Anjanay mai naye naaam milay, choro k hum kahan milay
Dunya k liye chaand banay, Mehfilon ki jaan banay
Deewaron k bhi kaan kharay, kehti wo insaan banen
Dilon ki zabaan banen
Khud se ye sawaal karen, kia tere ehsaan baray?
Afsanay ye rehte hain dil mai, is mozoo pe likhtaa nahi huu
Chahte k hum bhi ghum baantay, afsurda par itna nahi huu
Khoon se ranggen ye khaakay, shayad mai bikhra waheen hu
Ye baaten hoon ooper se naazil rab jaanay mai kitna sahi hu
Dekhi meri saadgi woh jaanay meri adaten
Urdu lage ye calligraphy kehlo mujhe sadequain
Shayad in amaalon pe hon bhaari ye ibaadaten
Jung ye apne aap se, is lahu mai shahadaten
Dil bhoolay tere shehar mai
Yaad aani meri thehar ke
Umeed k tum khair se
Asar nahi ab is zehar mai
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Mein tey aana nahi
Dil laana nahi
Find more lyrics at lyrics.jspinyin.net
You can purchase their music thru or Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases
Other Popular Songs:
Reanne Bangsil - Better Soon
Megaloh - Muss los
Lyrics Talhah Yunus – Aana Nahi
Kindly like and share our content. Please follow our site to get the latest lyrics for all songs.
We don’t provide any MP3 Download, please support the artist by purchasing their music 🙂
You can purchase their music thru or Disclosure: As an Amazon Associate and an Apple Partner, we earn from qualifying purchases